bhuul jaaoge ki rahte the yahaan duusre log
— Irfan Siddiqi
Bhuul jaaoge ki rahte the yahaan doosre log
Kal phir aabaad karenge ye mughaan doosre log
Daf bajaatee huee sahraaon se aa.egee havaa
Aur phir honge yahaan raqs-kunaan doosre log
Jal-bhunjenge ki ham is raat ke eendhan hee to hain
Khair dekhenge na.ee raushaniyaan doosre log
Ham ne ye kaar-e-junoon kar to diyaa hai aaghaaz
ToD Daalenge ye zanjeer-e-giraan doosre log
Ye bhee gum-karda zamaanon kee zabaan bolte hain
Apne hee log hain ai ham-safaraan doosre log
Tiir chalte rahenge haath badalte rahenge
Gardanen ham to uThaa lenge nishaan doosre log