dar o diivaar ki zad se nikalnaa chaahtaa hoon main

Irfan Siddiqi

Dar-o-deevaar kee zad se nikalnaa chaahtaa hoon main Havaa-e-taaza tere saath chalnaa chaahtaa hoon main Wo kahte hain ki aazaadee aseeree ke baraabar hai To yuun samjho ki zanjeeren badalnaa chaahtaa hoon main Numoo karne ko hai meraa lahoo qaatil ke siine se Wo chashma hoon ki patthar se ubalnaa chaahtaa hoon main Buland o past Dunya faisla karne naheen detee Ki girnaa chaahtaa hoon yaa sambhalnaa chaahtaa hoon main Mohabbat men havas kaa saa mazaa milnaa kahaan mumkin Wo sirf ik raushnee hai jis men jalnaa chaahtaa hoon main