donon apne kaam ke maahir donon bade zahiin

Irfan Siddiqi

Donon apne kaam ke maahir donon baDe zaheen Saanp hamesha phan lahraa.e aur saperaa biin Gurg vahaan koee sar naheen kartaa aahoo par bandooq Us bastee ko jangal kahnaa jangal kee tauheen Sokhtagaan kee bazm-e-sukhan men sadr-nasheen aaseb Cheekhon ke sad ghazlon par sannaaTon kee tahseen Fitna-e-shab ne khatm kiyaa sab aankhon kaa aazaar Saare khvaab haqeeqat ban ga.e saare vahm yaqeen Ham bhee patthar tum bhee patthar sab patthar Takraao Ham bhee TooTen tum bhee TuuTo sab TooTen aameen