ek tariiqa ye bhi hai jab jiinaa ik naa chaarii ho

Irfan Siddiqi

Ek tareeqa ye bhee hai jab jiinaa ik naa-chaaree ho Haath bandhe hon siine par dil bai.at se inkaaree ho Jashn-e-zafar ek aur safar kee saa.at kaa deebaacha hai Khema-e-shab men raqs bhee ho aur kuuch kee bhee tayyaaree ho Is se kam par ram-khurdoon kaa kaun ta.aaqub kartaa hai Yaa baanu-e-koo-e-avadh ho yaa aahoo-e-tataaree ho Daa.im hai sultaanee ham shahzaadon khaak-nihaadon kee Barq-o-sharar kee masnad ho yaa takht-e-baad-e-bahaaree ho Ham to raat kaa matlab samjhen khvaab, sitaare, chaand, charaagh Aage kaa ahvaal wo jaane jis ne raat guzaaree ho