ham se shaayad hi kabhi us ki shanaasaaii ho
— Irfan Siddiqi
Ham se shaayad hee kabhi us kee shanaasaa.ee ho
Dil ye chaahe hai ki shohrat ho na rusvaa.ee ho
Wo thakan hai ki badan ret kee deevaar saa hai
Dushman-e-jaan hai wo pachhuaa ho ki purvaa.ee ho
Ham vahaan kya nigah-e-shauq ko sharminda karen
Shahr kaa shahr jahaan us kaa tamaashaa.ee ho
Dard kaisaa jo Dubo.e na bahaa le jaa.e
Kya nadee jis men ravaanee ho na gahraa.ee ho
Kuch to ho jo tujhe mumtaaz kare auron se
Jaan lene kaa hunar ho ki maseehaa.ee ho
Tum samajhte ho jise sang-e-malaamat 'irfaan'
Kya khabar wo bhee koi rasm-e-pazeeraa.ee ho