ham se wo jaan e sukhan rabt e navaa chaahtii hai

Irfan Siddiqi

Ham se wo jaan-e-sukhan rabt-e-navaa chaahtee hai Chaand hai aur charaaghon se ziyaa chaahtee hai Us ko rahtaa hai hamesha maree vahshat kaa khayaal Mere gum-gashta ghazaalon kaa pataa chaahtee hai Main ne itnaa use chaahaa hai ki wo jaan-e-muraad Khud ko zanjeer-e-mohabbat se rihaa chaahtee hai Chaahtee hai ki kaheen mujh ko bahaa kar le jaa.e Tum se baDh kar to mujhe mauj-e-fanaa chaahtee hai Ruuh ko ruuh se milne nahin deta hai badan Khair ye biich kee deevaar giraa chaahtee hai Ham parindon se ziyaada to nahin hain aazaad Ghar ko chalte hain ki ab shaam huaa chaahtee hai Ham ne in lafzon ke peechhe hee chhupaayaa hai tujhe Aur inheen se tiree tasveer banaa chaahtee hai