jab ye aalam ho to likhiye lab o rukhsaar pe khaak
— Irfan Siddiqi
Jab ye aalam ho to likhiye lab-o-rukhsaar pe khaak
UDtee hai khaana-e-dil ke dar-o-deevaar pe khaak
Too ne miTTee se ulajhne kaa nateeja dekhaa
Daal dee mere badan ne tiree talvaar pe khaak
Ham ne muddat se ulaT rakkhaa hai kaasa apna
Dast-e-daadaar tire dirham-o-deenaar pe khaak
Putliyaan garmee-e-nazzaara se jal jaatee hain
Aankh kee khair miyaan raunaq-e-baazaar pe khaak
Jo kisee aur ne likkhaa hai use kya ma.aloom
Lauh-e-taqdeer bajaa chehra-e-akhbaar pe khaak
Chaar deevaar-e-anaasir kee haqeeqat kitnee
Ye bhee ghar Doob gaya deeda-e-khoon-baar pe khaak
Paa-e-vahshat ne ajab naqsh banaa.e the yahaan
Ai havaa-e-sar-e-sahraa tiree raftaar pe khaak
Ye ghazal likh ke hareefon pe uDaa dee main ne
Jam rahi thee mire aa.eena-e-ash.aar pe khaak
Ye bhee dekho ki kahaan kaun bulaataa hai tumhen
Mahzar-e-shauq paDho mahzar-e-sarkaar pe khaak
Aap kya naqd-e-do-aalam se khareedenge ise
Ye to deevaane kaa sar hai sar-e-pindaar pe khaak