khel sab aankhon kaa hai saaraa hunar aankhon kaa hai
— Irfan Siddiqi
Khel sab aankhon kaa hai saaraa hunar aankhon kaa hai
Phir bhee Dunya men khasaara sar-ba-sar aankhon kaa hai
Ham na dekhenge to ye manzar badal jaa.enge kya
Dekhnaa Thahraa to kya naf-o-zarar aankhon kaa hai
Sochnaa kya hai abhee kaar-e-nazar kaa maa-hasal
Ham to yuun khush hain ki aaghaaz-e-safar aankhon kaa hai
Rafta rafta saare chehre darmiyaan se haT ga.e
Ek rishta aaj bhee baaqee magar aankhon kaa hai
Raasta kya kya charaaghon kee tarah takte the log
Silsila aankhon men taa-hadd-e-nazar aankhon kaa hai
Thak chuke donon tamaasha-gaah-e-aalam dekh kar
Aao so jaa.en ki in aankhon men ghar aankhon kaa hai