khushbuu ki tarah saath lagaa le gaii ham ko

Irfan Siddiqi

Khushboo kee tarah saath lagaa le ga.ee ham ko Kooche se tire baad-e-sabaa le ga.ee ham ko Patthar the ki gauhar the ab is baat kaa kya zikr Ik mauj bahar-haal bahaa le ga.ee ham ko Phir chhoD diyaa reg-e-sar-e-raah samajh kar Kuch duur to mausam kee havaa le ga.ee ham ko Tum kaise gire aandhee men chhitnaar darkhto Ham log to patte the uDaa le ga.ee ham ko Ham kaun shanaavar the ki yuun paar utarte Sookhe hue honTon kee duaa le ga.ee ham ko Is shahr men ghaarat-gar-e-eemaan to bahut the Kuch ghar kee sharaafat hee bachaa le ga.ee ham ko