mere hone men kisi taur se shaamil ho jaao

Irfan Siddiqi

Mere hone men kisee taur se shaamil ho jaao Tum maseehaa nahin hote ho to qaatil ho jaao Dasht se duur bhee kya rang dikhaataa hai junoon Dekhnaa hai to kisee shahr men daakhil ho jaao Jis pe hota hee nahin khoon-e-do-aalam saabit BaDh ke ik din usee gardan men hamaa.il ho jaao Wo sitamgar tumhen taskheer kiyaa chaahtaa hai Khaak ban jaao aur us shakhs ko haasil ho jaao Ishq kya kaar-e-havas bhee koi aasaan nahin Khair se pahle isee kaam ke qaabil ho jaao Abhee paikar hee jalaa hai to ye aalam hai miyaan Aag ye ruuh men lag jaa.e to kaamil ho jaao Main hoon yaa mauj-e-fanaa aur yahaan koi nahin Tum agar ho to zaraa raah men haa.il ho jaao