sham e tanhaa ki tarah subh ke taare jaise
— Irfan Siddiqi
Sham-e-tanhaa kee tarah sub.h ke taare jaise
Shahr men ek hee do honge hamaare jaise
Chhoo gaya thaa kabhi is jism ko ik shola-e-dard
Aaj tak khaak se Udhte hain sharaare jaise
Hausle deta hai ye abr-e-gurezaan kya kya
Zinda hoon dasht men ham us ke sahaare jaise
Sakht-jaan ham saa koi tum ne na dekhaa hogaa
Ham ne qaatil ka.ee dekhe hain tumhaare jaise
Deedanee hai mujhe siine se lagaanaa us kaa
Apne shaanon se koi bojh utaare jaise
Ab jo chamkaa hai ye khanjar to khayaal aataa hai
Tujh ko dekhaa ho kabhi nahr kinaare jaise
Us kee aankhen hain ki ik Doobne vaalaa insaan
Doosre Doobne vaale ko pukaare jaise