shoala e ishq bujhaanaa bhi nahin chaahtaa hai
— Irfan Siddiqi
Sho.ala-e-ishq bujhaanaa bhee naheen chaahtaa hai
Wo magar khud ko jalaanaa bhee naheen chaahtaa hai
Us ko manzoor naheen hai miree gumraahee bhee
Aur mujhe raah pe laanaa bhee naheen chaahtaa hai
Jab se jaanaa hai ki main jaan samajhtaa hoon use
Wo hiran chhoD ke jaanaa bhee naheen chaahtaa hai
Sair bhee jism ke sahraa kee khush aatee hai magar
Der tak khaak uDaanaa bhee naheen chaahtaa hai
Kaise us shakhs se taabeer pe israar karen
Jo hamen khvaab dikhaanaa bhee naheen chaahtaa hai
Apne kis kaam men laa.egaa bataataa bhee naheen
Ham ko auron pe ganvaanaa bhee naheen chaahtaa hai
Mere lafzon men bhee chhuptaa naheen paikar us kaa
Dil magar naam bataanaa bhee naheen chaahtaa hai