sukhan men rang tumhaare khayaal hi ke to hain
— Irfan Siddiqi
Sukhan men rang tumhaare khayaal hee ke to hain
Ye sab karishme havaa-e-visaal hee ke to hain
Kahaa thaa tum ne ki laataa hai kaun ishq kee taab
So ham javaab tumhaare savaal hee ke to hain
Zaraa see baat hai dil men agar bayaan ho jaa.e
Tamaam mas.ale iz.haar-e-haal hee ke to hain
Yahaan bhee us ke sivaa aur kya naseeb hamen
Khutan men rah ke bhee chashm-e-ghazaal hee ke to hain
Jasaarat-e-sukhan-e-shaa.iraan se Darnaa kiyaa
Ghareeb mashghala-e-qeel-o-qaal hee ke to hain
Havaa kee zad pe hamaaraa safar hai kitnee der
Charaagh ham kisee shaam-e-zavaal hee ke to hain