tod dii us ne wo zanjiir hi dildaarii ki
— Irfan Siddiqi
Tod dee us ne wo zanjeer hee dildaaree kee
Aur tash.heer karo apnee giraftaaree kee
Ham to sahraa hue jaate the ki us ne aa kar
Shahr aabaad kiyaa nahr-e-sabaa jaaree kee
Ham bhee kya shai hain tabee.at milee sayyaara-shikaar
Aur taqdeer milee aahoo-e-taataaree kee
Itnaa saada hai miraa maaya-e-khoobee ki mujhe
Kabhi aadat na rahi aa.ina-bardaaree kee
Mire gum-gashta ghazaalon kaa pata poochhtaa hai
Fikr rakhtaa hai maseehaa miree beemaaree kee
Us ke lahje men koi chiiz to shaamil thee ki aaj
Dil pe is harf-e-inaayat ne giraan-baaree kee