unhiin ki shah se unhen maat kartaa rahtaa hoon
— Irfan Siddiqi
Unheen kee shah se unhen maat kartaa rahtaa hoon
Sitamgaron kee mudaaraat kartaa rahtaa hoon
Yahaan koi nahin suntaa hadis-e-dil-zadagaan
Magar main aur tarah baat kartaa rahtaa hoon
Bhalaa ye umr koi kaarobaar-e-shauq kee hai
Bas ik talaafi-e-maafaat kartaa rahtaa hoon
Ye kaa.enaat mire baal-o-par ke bas kee nahin
To kya karoon safar-e-zaat kartaa rahtaa hoon
Yaheen pe vaar-e-hareefaan uThaanaa paDtaa hai
Yaheen hisaab-e-musaavaat kartaa rahtaa hoon
Ajab nahin kisee koshish men kaamraan ho jaa.oon
Mohabbaton kee shurooaat kartaa rahtaa hoon
Hamesha kaasa-e-khaalee chhalaktaa rahtaa hai
Faqeer hoon so karaamaat kartaa rahtaa hoon