wo un dinon to hamaaraa thaa lekin ab kya hai
— Irfan Siddiqi
Wo un dinon to hamaaraa thaa lekin ab kya hai
Phir us se aaj vahee ranj-e-be-sabab kya hai
Tum us kaa vaar bachaane kee fikr men kyuun ho
Wo jaantaa hai maseehaa.iyon kaa Dhab kya hai
Dabeez kohar hai yaa narm dhoop kee chaadar
Khabar nahin tire baad ai ghubaar-e-shab kya hai
Dikhaa raha hai kise vaqt an-ginat manzar
Agar main Kuch bhee nahin hoon to phir ye sab kya hai
Ab is qadar bhee sukoon mat dikhaa bichhaDte hue
Wo phir tujhe na kabhi mil sake ajab kya hai
Main apne chehre se kis tarah ye naqaab uThaa.oon
Samajh bhee jaa ki pas-e-parda-e-tarab kya hai
Yahaan nahin hai ye dastoor-e-guftugoo 'irfaan'
Fughaan sune na koi harf-e-zer-e-lab kya hai