zer e mehraab na baalaa e makaan boltii hai
— Irfan Siddiqi
Zer-e-mehraab na baalaa-e-makaan boltee hai
Khaamushee aa ke sar-e-khalvat-e-jaan boltee hai
Ye miraa vahm hai yaa mujh ko bulaate hain wo log
Kaan bajte hain ki mauj-e-guzaraan boltee hai
Lo savaal-e-dahan-e-basta kaa aataa hai javaab
Tiir sargoshiyaan karte hain kamaan boltee hai
Ek main hoon ki is aashob-e-navaa men chup hoon
Varna Dunya mire zakhmon kee zabaan boltee hai
Hoo kaa aalam hai giraftaaron kee aabaadee men
Ham to sunte the ki zanjeer-e-giraan boltee hai
Dard ke baab men timsaal-garee hai khaamosh
Ban bhee jaatee hai to tasveer kahaan boltee hai