dil kaa ahvaal zamaane pe ayaan ho saktaa
— Jamshed Masroor
Dil kaa ahvaal zamaane pe ayaan ho saktaa
Lafz ai kaash tamannaa kee zabaan ho saktaa
Ye samajhte hee naheen dard kaa baa.is kyaa hai
Meraa dil kaash dil-e-chaara-garaan ho saktaa
Dekh saktaa kisee khanjar kee lapak kaa manzar
Koee gham-khvaar qareeb-e-rag-e-jaan ho saktaa
Chaand kee mash.al-e-be-kaar bujhaa dee jaatee
Raat par raat kaa shiddat se gumaan ho saktaa
Kam na hotee jo tapish dard ke angaaron kee
Ruuh men hausla-e-zabt-e-fughaan ho saktaa
Sher banne se khayaalaat bikhar jaate hain
Kaash 'jamshed' ye dukh yoonhee bayaan ho saktaa