dil sulagtaa hai na ab yaad koii aatii hai
— Jamshed Masroor
Dil sulagtaa hai na ab yaad koee aatee hai
Gard see hai jo khayaalon pe jamee jaatee hai
Duur peDon se ulajhtee hai har aandhee lekin
Zard patton ko mire ghar men uThaa laatee hai
Karne aatee hai munavvar dil-e-har-gosha-e-dard
Chaandnee shahr kee galiyon men bhaTak jaatee hai
Dil kaa barbaad jahaan jab bhee kabhee dekhtaa huun
Apne naakaam iraadon pe hansee aatee hai
Vo hai kis des men kis shahr men huun main 'jamshed'
Bas isee soch men har raat guzar jaatee hai