aakhirii baar aah kar lii hai
— Jaun Eliya
Aakhiree baar aah kar lee hai
Main ne khud se nibaah kar lee hai
Apne sar ik balaa to lenee thee
Main ne wo zulf apne sar lee hai
Din bhalaa kis tarah guzaaroge
Vasl kee shab bhee ab guzar lee hai
Jaan-nisaaron pe vaar kya karnaa
Main ne bas haath men sipar lee hai
Jo bhee maango udhaar doongaa main
Us galee men dukaan kar lee hai
Meraa kashkol kab se khaalee thaa
Main ne is men sharaab bhar lee hai
Aur to Kuch naheen kiyaa main ne
Apnee haalat tabaah kar lee hai
Shaikh aayaa thaa mohtasib ko liye
Main ne bhee un kee wo khabar lee hai