aap apna gubaar the ham to
— Jaun Eliya
Aap apna ghubaar the ham to
Yaad the yaadgaar the ham to
Pardagee ham se kyuun rakhaa parda
Tere hee parda-daar the ham to
Waqt kee dhoop men tumhaare liye
Shajar-e-saaya-daar the ham to
UDe jaate hain dhuul ke maanind
Aandhiyon par savaar the ham to
Ham ne kyuun khud pe e.atibaar kiyaa
Sakht be-aitbaar the ham to
Sharm hai apnee baar baaree kee
Be-sabab baar baar the ham to
Kyuun hamen kar diyaa gaya majboor
Khud hee be-ikhtiyaar the ham to
Tum ne kaise bhulaa diyaa ham ko
Tum se hee musta.aar the ham to
Khush na aayaa hamen jiye jaanaa
Lamhe lamhe pe baar the ham to
Sah bhee lete hamaare ta.anon ko
Jaan-e-man jaan-nisaar the ham to
Khud ko dauraan-e-haal men apne
Be-tarah naagavaar the ham to
Tum ne ham ko bhee kar diyaa barbaad
Naadir-e-rozgaar the ham to
Ham ko yaaron ne yaad bhee na rakhaa
'jaun' yaaron ke yaar the ham to