Abhi ik shor saa uthaa hai kahiin
— Jaun Eliya
Abhee ik shor saa uThaa hai kaheen
Koee khaamosh ho gaya hai kaheen
Hai Kuch aisa ki jaise ye sab Kuch
Is se pahle bhee ho chukaa hai kaheen
Tujh ko kya ho gaya ki cheezon ko
Kaheen rakhtaa hai DhoonDhtaa hai kaheen
Jo yahaan se kaheen na jaataa thaa
Wo yahaan se chalaa gaya hai kaheen
Aaj shamshaan kee see boo hai yahaan
Kya koee jism jal raha hai kaheen
Ham kisee ke naheen jahaan ke sivaa
Aisee wo khaas baat kya hai kaheen
Too mujhe DhoonD main tujhe DhoonDoon
Koee ham men se rah gaya hai kaheen
Kitnee vahshat hai darmiyaan-e-hujoom
Jis ko dekho gaya huaa hai kaheen
Main to ab shahr men kaheen bhee naheen
Kya miraa naam bhee likhaa hai kaheen
Isee kamre se koee ho ke vidaa.a
Isee kamre men chhup gaya hai kaheen
Mil ke har shakhs se huaa mahsoos
Mujh se ye shakhs mil chukaa hai kaheen