ajnabii shaam dhund chhaaii huii hai jhiilon par

Jaun Eliya

Dhund chhaa.ee huee hai jheelon par UD rahe hain parind Teelon par Sab kaa rukh hai nashemanon kee taraf Bastiyon kee taraf banon kee taraf Apne gallon ko le ke charvaahe Sarhadee bastiyon men jaa pahunche Dil-e-naakaam main kahaan jaaon Ajnabee shaam main kahaan jaaon Dhund chhai hui hai jhilon par UD rahe hain parind Tilon par Sab ka ruKH hai nashemanon ki taraf Bastiyon ki taraf banon ki taraf Apne gallon ko le ke charwahe Sarhadi bastiyon mein ja pahunche Dil-e-nakaam main kahan jaun Ajnabi sham main kahan jaun