bahut dil ko kushaada kar liyaa kya
— Jaun Eliya
Bahut dil ko kushaada kar liyaa kya
Zamaane bhar se va.ada kar liyaa kya
To kya sach-much judaa.ee mujh se kar lee
To khud apne ko aadhaa kar liyaa kya
Hunar-mandee se apnee dil kaa safha
Miree jaan tum ne saada kar liyaa kya
Jo yaksar jaan hai us ke badan se
Kaho Kuch istifaada kar liyaa kya
Bahut katraa rahe ho mughbachon se
Gunaah-e-tark-e-baada kar liyaa kya
Yahaan ke log kab ke jaa chuke hain
Safar jaada-ba-jaada kar liyaa kya
UThaayaa ik qadam too ne na us tak
Bahut apne ko maanda kar liyaa kya
Tum apnee kaj-kulaahee haar baiTheen
Badan ko be-libaada kar liyaa kya
Bahut nazdeek aatee jaa rahi ho
BichhaDne kaa iraada kar liyaa kya