bas ek andaaza

Jaun Eliya

Baras guzre tumhen so.e hue UTh jaao suntee ho ab uTh jaao Main aayaa hoon Main andaaze se samjhaa hoon Yahaan soee huee ho tum Yahaan roo-e-zameen ke is maqaam-e-aasmaanee-tar kee had men Baad-haa-e-tund ne Mere liye bas ek andaaza hee chhoDaa hai! Baras guzre tumhein soe hue UTh jao sunti ho ab uTh jao Main aaya hun Main andaze se samjha hun Yahan soi hui ho tum Yahan ru-e-zamin ke is maqam-e-asmani-tar ki had mein Baad-ha-e-tund ne Mere liye bas ek andaza hi chhoDa hai!