be qaraarii sii be qaraarii hai
— Jaun Eliya
Be-qaraaree see be-qaraaree hai
Vasl hai aur firaaq taaree hai
Jo guzaaree na jaa sakee ham se
Ham ne wo zindagee guzaaree hai
Nighare kya hue ki logon par
Apna saaya bhee ab to bhaaree hai
Bin tumhaare kabhee naheen aa.ee
Kya miree niind bhee tumhaaree hai
Aap men kaise aa.uun main tujh bin
Saans jo chal rahi hai aaree hai
Us se kahiyo ki dil kee galiyon men
Raat din teree intizaaree hai
Hijr ho yaa visaal ho Kuch ho
Ham hain aur us kee yaadgaaree hai
Ik mahak samt-e-dil se aa.ee thee
Main ye samjhaa tiree savaaree hai
Haadson kaa hisaab hai apna
Varna har aan sab kee baaree hai
Khush rahe too ki zindagee apnee
Umr bhar kee umeed-vaaree hai