dariicha haa e khayaal
— Jaun Eliya
Chaahtaa hoon ki bhuul jaaon tumhen
Aur ye sab dareecha-haa-e-khayaal
Jo tumhaaree hee samt khulte hain
Band kar duun kuch is tarah ki yahaan
Yaad kee ik kiran bhee aa na sake
Chaahtaa hoon ki bhuul jaaon tumhen
Aur khud bhee na yaad aa.uun tumhen
Jaise tum sirf ik kahaanee thiin
Jaise main sirf ik fasaana tha
Chahta hun ki bhul jaun tumhein
Aur ye sab daricha-ha-e-KHayal
Jo tumhaari hi samt khulte hain
Band kar dun kuch is tarah ki yahan
Yaad ki ek kiran bhi aa na sake
Chahta hun ki bhul jaun tumhein
Aur KHud bhi na yaad aaun tumhein
Jaise tum sirf ek kahani thin
Jaise main sirf ek fasana tha