gaahe gaahe bas ab yahii ho kya
— Jaun Eliya
Gaahe gaahe bas ab yahee ho kya
Tum se mil kar bahut khushee ho kya
Mil rahee ho baDe tapaak ke saath
Mujh ko yaksar bhulaa chukee ho kya
Yaad hain ab bhee apne khvaab tumhen
Mujh se mil kar udaas bhee ho kya
Bas mujhe yoonhee ik khayaal aayaa
Sochtee ho to sochtee ho kya
Ab miree koee zindagee hee naheen
Ab bhee tum meree zindagee ho kya
Kya kahaa ishq jaavedaanee hai!
Aakhiree baar mil rahee ho kya
Haan fazaa yaan kee soee soee see hai
To bahut tez raushnee ho kya
Mere sab tanz be-asar hee rahe
Tum bahut duur jaa chukee ho kya
Dil men ab soz-e-intizaar naheen
Sham-e-ummeed bujh ga.ee ho kya
Is samundar pe tishna-kaam hoon main
Baan tum ab bhee bah rahee ho kya