haal ye hai ki khwaish e pursish e haal bhi nahin

Jaun Eliya

Haal ye hai ki khwaish-e-pursish-e-haal bhee nahin Us kaa khayaal bhee nahin apna khayaal bhee nahin Ai shajar-e-hayaat-e-shauq aisee khizaan-raseedagee Poshish-e-barg-o-gul to kya jism pe chhaal bhee nahin Mujh men wo shakhs ho chukaa jis kaa koi hisaab thaa Suud hai kya ziyaan hai kya is kaa savaal bhee nahin Mast hain apne haal men dil-zadagaan-o-dil-baraan Sulh-o-salaam to kujaa bahs-o-jidaal bhee nahin Too miraa hausla to dekh daad to de ki ab mujhe Shauq-e-kamaal bhee nahin khauf-e-zavaal bhee nahin Khema-gaah-e-nigaah ko luuT liyaa gaya hai kya Aaj ufuq ke dosh par gard kee shaal bhee nahin Uf ye fazaa-e-ehtiyaat taa kaheen uD na jaa.en ham Baad-e-junoob bhee nahin baad-e-shimaal bhee nahin Vaj.h-e-ma'aash-e-be-dilaan yaas hai ab magar kahaan Us ke varood kaa gumaan farz-e-muhaal bhee nahin Ghaarat-e-roz-o-shab to dekh vaqt kaa ye ghazab to dekh Kal to nidhaal bhee thaa main aaj nidhaal bhee nahin Mere zamaan-o-zaat kaa hai ye mu'aamla ki ab Sub.h-e-firaaq bhee nahin shaam-e-visaal bhee nahin Pahle hamaare zehn men husn kee ik misaal thee Ab to hamaare zehn men koi misaal bhee nahin Main bhee bahut 'ajeeb hoon itnaa 'ajeeb hoon ki bas Khud ko tabaah kar liyaa aur malaal bhee nahin