haalat e haal ke sabab haalat e haal hi gaii
— Jaun Eliya
Haalat-e-haal ke sabab haalat-e-haal hee ga.ee
Shauq men kuch nahin gaya shauq kee zindagee ga.ee
Teraa firaaq jaan-e-jaan aish tha kya mire liye
Ya.anee tire firaaq men khuub sharaab pee ga.ee
Tere visaal ke liye apne kamaal ke liye
Haalat-e-dil ki thee kharaab aur kharaab kee ga.ee
Us kee umeed-e-naaz kaa ham se ye maan tha ki aap
Umr guzaar deejiye umr guzaar dee ga.ee
Ek hee haadsa to hai aur wo ye ki aaj tak
Baat nahin kahee ga.ee baat nahin sunee ga.ee
Ba.ad bhee tere jaan-e-jaan dil men raha ajab samaan
Yaad rahi tiree yahaan phir tiree yaad bhee ga.ee
Us ke badan ko dee numood ham ne sukhan men aur phir
Us ke badan ke vaaste ek qabaa bhee see ga.ee
Meenaa-ba-meenaa mai-ba-mai jaam-ba-jaam jam-ba-jam
Naaf-piyaale kee tire yaad ajab sahee ga.ee
Kahnee hai mujh ko ek baat aap se ya.anee aap se
Aap ke shahr-e-vasl men lazzat-e-hijr bhee ga.ee
Sehn-e-khayaal-e-yaar men kee na basar shab-e-firaaq
Jab se wo chaandnaa gaya jab se wo chaandnee ga.ee