hai bikharne ko ye mahfil e rang o buu tum kahaan jaaoge ham kahaan jaaenge
— Jaun Eliya
Hai bikharne ko ye mahfil-e-rang-o-boo tum kahaan jaaoge ham kahaan jaa.enge
Har taraf ho rahee hai yahee guftugoo tum kahaan jaaoge ham kahaan jaa.enge
Har mataa-e-nafas nazr-e-aahang kee ham ko yaaraan havas thee bahut rang kee
Gul-zameen se ubalne ko hai ab lahoo tum kahaan jaaoge ham kahaan jaa.enge
Avval-e-shab kaa mahtaab bhee jaa chukaa sehn-e-mai-khaana se ab ufuq men kaheen
Aakhir-e-shab hai khaalee hain jaam-o-suboo tum kahaan jaaoge ham kahaan jaa.enge
Koee haasil na thaa aarzoo kaa magar saaneha ye hai ab aarzoo bhee naheen
Vaqt kee is masaafat men be-aarzoo tum kahaan jaaoge ham kahaan jaa.enge
Kis qadar duur se lauT kar aa.e hain yuun kaho umr barbaad kar aa.e hain
Thaa saraab apna sarmaaya-e-justujoo tum kahaan jaaoge ham kahaan jaa.enge
Ik junoon thaa ki aabaad ho shahr-e-jaan aur aabaad jab shahr-e-jaan ho gaya
Hain ye sargoshiyaan dar-ba-dar koo-ba-koo tum kahaan jaaoge ham kahaan jaa.enge
Dasht men raqs-e-shauq-e-bahaar ab kahaan baad-paimaa.ee-e-deevaana-vaar ab kahaan
Bas guzarne ko hai mausam-e-haav-hoo tum kahaan jaaoge ham kahaan jaa.enge
Ham hain rusvaa-kun-e-dillee-o-lucknow apnee kya zindagee apnee kya aabroo
'meer' dillee se nikle ga.e lucknow tum kahaan jaaoge ham kahaan jaa.enge