iizaa dahii ki daad jo paataa raha hoon main

Jaun Eliya

Eezaa-dahee kee daad jo paataa raha hoon main Har naaz-aafreen ko sataataa raha hoon main Ai khush-khiraam paanv ke chhaale to gin zaraa Tujh ko kahaan kahaan na phiraataa raha hoon main Ik husn-e-be-misaal kee tamseel ke liye Parchhaa.iyon pe rang giraataa raha hoon main Kya mil gaya zameer-e-hunar bech kar mujhe Itnaa ki sirf kaam chalaataa raha hoon main Roohon ke parda-posh gunaahon se be-khabar Jismon kee nekiyaan hee ginaataa raha hoon main Tujh ko khabar nahin ki tiraa karb dekh kar Aksar tiraa mazaaq uDaataa raha hoon main Shaayad mujhe kisee se mohabbat nahin huee Lekin yaqeen sab ko dilaataa raha hoon main Ik satr bhee kabhi na likhee main ne tere naam Paagal tujhee ko yaad bhee aataa raha hoon main Jis din se e'timaad men aayaa tiraa shabaab Us din se tujh pe zulm hee Dhaataa raha hoon main Apna misaaliya mujhe ab tak na mil sakaa Zarron ko aaftaab banaataa raha hoon main Bedaar kar ke tere badan kee khud-aagahee Tere badan kee umr ghaTaataa raha hoon main Kal dopahar ajiib see ik be-dilee rahee Bas teeliyaan jalaa ke bujhaataa raha hoon main