ik hunar hai jo kar gaya hoon main
— Jaun Eliya
Ik hunar hai jo kar gaya hoon main
Sab ke dil se utar gaya hoon main
Kaise apnee hansee ko zabt karoon
Sun raha hoon ki ghar gaya hoon main
Kya bataa.oon ki mar nahin paataa
Jeete-jee jab se mar gaya hoon main
Ab hai bas apna saamnaa dar-pesh
Har kisee se guzar gaya hoon main
Vahee naaz-o-adaa vahee ghamze
Sar-ba-sar aap par gaya hoon main
Ajab ilzaam hoon zamaane kaa
Ki yahaan sab ke sar gaya hoon main
Kabhi khud tak pahunch nahin paayaa
Jab ki vaan umr bhar gaya hoon main
Tum se jaanaan milaa hoon jis din se
Be-tarah khud se Dar gaya hoon main
Koo-e-jaanaan men sog barpaa hai
Ki achaanak sudhar gaya hoon main