khalvat mujhe tum apnii baanhon men jakad lo aur main tum ko
— Jaun Eliya
Mujhe tum apnee baanhon men jakaD lo aur main tum ko
Kisee bhee dil-kushaa jazbe se yaksar naa-shanaasaana
Nashaat-e-rang kee sarshaaree-e-haalat se begaana
Mujhe tum apnee baanhon men jakaD lo aur main tum ko
Fusoon-kaaraa nigaaraa nau-bahaaraa aarzoo-aaraa
Bhalaa lamhon kaa meree aur tumhaaree khvaab-parvar
Aarzoo-mandee kee sarshaaree se kya rishta
Hamaaree baahamee yaadon kee dildaaree se kya rishta
Mujhe tum apnee baanhon men jakaD lo aur main tum ko
Yahaan ab teesraa koi nahin ya.anee mohabbat bhee
Mujhe tum apni banhon mein jakaD lo aur main tum ko
Kisi bhi dil-kusha jazbe se yaksar na-shanasana
Nashat-e-rang ki sarshaari-e-haalat se begana
Mujhe tum apni banhon mein jakaD lo aur main tum ko
Fusun-kara nigara nau-bahaara aarzu-ara
Bhala lamhon ka meri aur tumhaari KHwab-parwar
Aarzu-mandi ki sarshaari se kya rishta
Hamari bahami yaadon ki dildari se kya rishta
Mujhe tum apni banhon mein jakaD lo aur main tum ko
Yahan ab tisra koi nahin yani mohabbat bhi