kis se izhaar e muddaaa kiije
— Jaun Eliya
Kis se iz.haar-e-mudda.aa kiije
Aap milte naheen hain kya kiije
Ho na paayaa ye faisla ab tak
Aap kiije to kya kiyaa kiije
Aap the jis ke chaara-gar wo javaan
Sakht beemaar hai duaa kiije
Ek hee fan to ham ne seekhaa hai
Jis se miliye use khafaa kiije
Hai taqaazaa miree tabee.at kaa
Har kisee ko charaagh-paa kiije
Hai to baare ye aalam-e-asbaab
Be-sabab cheekhne lagaa kiije
Aaj ham kya gila karen us se
Gila-e-tangee-e-qabaa kiije
Nutq haivaan par garaan hai abhee
Guftugoo kam se kam kiyaa kiije
Hazrat-e-zulf-e-ghaaliya-afshaan
Naam apna sabaa sabaa kiije
Zindagee kaa ajab mo.aamla hai
Ek lamhe men faisla kiije
Mujh ko aadat hai rooth jaane kee
Aap mujh ko manaa liyaa kiije
Milte rahiye isee tapaak ke saath
Bevafaa.ee kee intihaa kiije
Kohkan ko hai khud-kushee khvaahish
Shaah-baano se iltijaa kiije
Mujh se kahtee thiin wo sharaab aankhen
Aap wo zahr mat piyaa kiije
Rang har rang men hai daad-talab
Khoon thookoon to vaah-vaa kiije