koi haalat nahin ye haalat hai
— Jaun Eliya
Koi haalat nahin ye haalat hai
Ye to aashob-naak soorat hai
Anjuman men ye meree khaamoshee
Burdbaaree nahin hai vahshat hai
Tujh se ye gaah-gaah kaa shikva
Jab talak hai basaa ghaneemat hai
Khvaahishen dil kaa saath chhoD ga.iin
Ye aziyyat baDee aziyyat hai
Log masroof jaante hain mujhe
Yaan miraa gham hee meree fursat hai
Tanz pairaaya-e-tabassum men
Is takalluf kee kya zaroorat hai
Ham ne dekhaa to ham ne ye dekhaa
Jo nahin hai wo khoob-soorat hai
Vaar karne ko jaan-nisaar aa.en
Ye to eesaar hai 'inaayat hai
Garm-joshee aur is qadar kya baat
Kya tumhen mujh se Kuch shikaayat hai
Ab nikal aao apne andar se
Ghar men saamaan kee zaroorat hai
Aaj kaa din bhee 'aish se guzraa
Sar se paa tak badan salaamat hai