ramz tum jab aaogii to khoyaa huaa paaogii mujhe
— Jaun Eliya
Tum jab aaogee to khoyaa huaa paaogee mujhe
Meree tanhaa.ee men khawabon ke sivaa kuch bhee nahin
Mere kamre ko sajaane kee tamannaa hai tumhen
Mere kamre men kitaabon ke sivaa kuch bhee nahin
In kitaabon ne baDaa zulm kiyaa hai mujh par
In men ik ramz hai jis ramz kaa maaraa huaa zehn
Muzhda-e-ishrat-e-anjaam nahin paa saktaa
Zindagee men kabhi aaraam nahin paa saktaa
Tum jab aaogi to khoya hua paogi mujhe
Meri tanhai mein KHwabon ke siwa kuch bhi nahin
Mere kamre ko sajaane ki tamanna hai tumhein
Mere kamre mein kitabon ke siwa kuch bhi nahin
In kitabon ne baDa zulm kiya hai mujh par
In mein ek ramz hai jis ramz ka mara hua zehn
Muzhda-e-ishrat-e-anjam nahin pa sakta
Zindagi mein kabhi aaram nahin pa sakta