ruuh pyaasii kahaan se aatii hai
— Jaun Eliya
Ruuh pyaasee kahaan se aatee hai
Ye udaasee kahaan se aatee hai
Hai wo yak-sar supurdagee to bhalaa
Bad-havaasee kahaan se aatee hai
Wo ham-aaghosh hai to phir dil men
Naa-shanaasee kahaan se aatee hai
Ek zindaan-e-be-dilee aur shaam
Ye sabaa see kahaan se aatee hai
Too hai pahloo men phir tiree khushboo
Ho ke baasee kahaan se aatee hai
Dil hai shab-sokhta so ai ummeed
Too nidaa see kahaan se aatee hai
Main hoon tujh men aur aas hoon teree
To niraasee kahaan se aatee hai