sazaa har baar mere saamne aatii rahii ho tum
— Jaun Eliya
Har baar mere saamne aatee rahi ho tum
Har baar tum se mil ke bichhaDtaa raha hoon main
Tum kaun ho ye khud bhee nahin jaantee ho tum
Main kaun hoon ye khud bhee nahin jaantaa hoon main
Tum mujh ko jaan kar hee paDee ho azaab men
Aur is tarah khud apnee sazaa ban gaya hoon main
Tum jis zameen par ho main us kaa khuda nahin
Pas sar-ba-sar aziyyat o aazaar hee raho
Bezaar ho ga.ee ho bahut zindagee se tum
Jab bas men kuch nahin hai to bezaar hee raho
Tum ko yahaan ke saaya o partav se kya gharaz
Tum apne haq men biich kee deevaar hee raho
Main ibtidaa-e-ishq se be-mehr hee raha
Tum intihaa-e-ishq kaa me.aar hee raho
Tum Khoon thooktee ho ye sun kar khushee huee
Is rang is adaa men bhee purkaar hee raho
Main ne ye kab kahaa tha mohabbat men hai najaat
Main ne ye kab kahaa tha vafaadaar hee raho
Apnee mataa-e-naaz luTaa kar mire liye
Baazaar-e-iltifaat men naadaar hee raho
Jab main tumhen nashaat-e-mohabbat na de sakaa
Gham men kabhi sukoon-e-rifaaqat na de sakaa
Jab mere sab charaagh-e-tamannaa havaa ke hain
Jab mere saare khvaab kisee bevafaa ke hain
Phir mujh ko chaahne kaa tumhen koi haq nahin
Tanhaa karaahne kaa tumhen koi haq nahin
Har bar mere samne aati rahi ho tum
Har bar tum se mil ke bichhaDta raha hun main
Tum kaun ho ye KHud bhi nahin jaanti ho tum
Main kaun hun ye KHud bhi nahin jaanta hun main
Tum mujh ko jaan kar hi paDi ho azab mein
Aur is tarah KHud apni saza ban gaya hun main
Tum jis zamin par ho main us ka KHuda nahin
Pas sar-ba-sar aziyyat o aazar hi raho
Bezar ho gai ho bahut zindagi se tum
Jab bas mein kuch nahin hai to bezar hi raho
Tum ko yahan ke saya o partaw se kya gharaz
Tum apne haq mein bich ki diwar hi raho
Main ibtida-e-ishq se be-mehr hi raha
Tum intiha-e-ishq ka mear hi raho
Tum KHun thukti ho ye sun kar KHushi hui
Is rang is ada mein bhi purkar hi raho
Main ne ye kab kaha tha mohabbat mein hai najat
Main ne ye kab kaha tha wafadar hi raho
Apni mata-e-naz luTa kar mere liye
Bazar-e-iltifat mein nadar hi raho
Jab main tumhein nashat-e-mohabbat na de saka
Gham mein kabhi sukun-e-rifaqat na de saka
Jab mere sab charagh-e-tamanna hawa ke hain
Jab mere sare KHwab kisi bewafa ke hain
Phir mujh ko chahne ka tumhein koi haq nahin
Tanha karahne ka tumhein koi haq nahin