shaayad main shaayad tum ko yaksar bhuulne vaalaa hoon
— Jaun Eliya
Main shaayad tum ko yaksar bhoolne vaalaa hoon
Shaayad jaan-e-jaan shaayad
Ki ab tum mujh ko pahle se ziyaada yaad aatee ho
Hai dil ghamgeen bahut ghamgeen
Ki ab tum yaad dildaaraana aatee ho
Shameem-e-door-maanda ho
Bahut ranjeeda ho mujh se
Magar phir bhee
Mashaam-e-jaan men mere aashtee-mandaana aatee ho
Judaa.ee men balaa kaa iltifaat-e-mehramaana hai
Qayaamat kee khabar-geeree hai
Behad naaz-bardaaree kaa aalam hai
Tumhaare rang mujh men aur gahre hote jaate hain
Main Dartaa hoon
Mire ehsaas ke is khvaab kaa anjaam kya hogaa
Ye mere andaroon-e-zaat ke taaraaj-gar
Jazbon ke bairee waqt kee saazish na ho koi
Tumhaare is tarah har lamha yaad aane se
Dil sahmaa huaa saa hai
To phir tum kam hee yaad aao
Mataa-e-dil mataa-e-jaan to phir tum kam hee yaad aao
Bahut kuch bah gaya hai sail-e-maah-o-saal men ab tak
Sabhee kuch to na bah jaa.e
Ki mere paas rah bhee kya gaya hai
Kuchh to rah jaa.e
Main shayad tum ko yaksar bhulne wala hun
Shayad jaan-e-jaan shayad
Ki ab tum mujh ko pahle se ziyaada yaad aati ho
Hai dil ghamgin bahut ghamgin
Ki ab tum yaad dildarana aati ho
Shamim-e-dur-manda ho
Bahut ranjida ho mujh se
Magar phir bhi
Masham-e-jaan mein mere aashti-mandana aati ho
Judai mein bala ka iltifat-e-mehramana hai
Qayamat ki KHabar-giri hai
Behad naz-bardari ka aalam hai
Tumhaare rang mujh mein aur gahre hote jate hain
Main Darta hun
Mere ehsas ke is KHwab ka anjam kya hoga
Ye mere andarun-e-zat ke taraj-gar
Jazbon ke bairi waqt ki sazish na ho koi
Tumhaare is tarah har lamha yaad aane se
Dil sahma hua sa hai
To phir tum kam hi yaad aao
Mata-e-dil mata-e-jaan to phir tum kam hi yaad aao
Bahut kuch bah gaya hai sail-e-mah-o-sal mein ab tak
Sabhi kuch to na bah jae
Ki mere pas rah bhi kya gaya hai
Kuchh to rah jae