siina dahak raha ho to kya chup rahe koi
— Jaun Eliya
Siina dahak raha ho to kya chup rahe koi
Kyuun cheekh cheekh kar na galaa chheel le koi
Saabit huaa sukoon-e-dil-o-jaan kaheen nahin
Rishton men DhoonDhtaa hai to DhoonDaa kare koi
Tark-e-ta.alluqaat koi mas.ala nahin
Ye to wo raasta hai ki bas chal paDe koi
Deevaar jaantaa thaa jise main wo dhuul thee
Ab mujh ko e'timaad kee daavat na de koi
Main khud ye chaahtaa hoon ki haalaat hon kharaab
Mere khilaaf zahr ugaltaa phire koi
Ai shakhs ab to mujh ko sabhee Kuch qubool hai
Ye bhee qubool hai ki tujhe chheen le koi
Haan Thiik hai main apnee anaa kaa mareez hoon
Aakhir mire mizaaj men kyuun dakhl de koi
Ik shakhs kar raha hai abhee tak wafa kaa zikr
Kaash us zabaan-daraaz kaa munh noch le koi