tuu bhi chup hai main bhi chup hoon ye kaisii tanhaaii hai
— Jaun Eliya
Too bhee chup hai main bhee chup hoon ye kaisee tanhaa.ee hai
Tere saath tiree yaad aa.ee kya too sach-much aa.ee hai
Shaayad wo din pahlaa din thaa palken bojhal hone kaa
Mujh ko dekhte hee jab us kee Angdhaai sharmaa.ee hai
Us din pahlee baar huaa thaa mujh ko rifaaqat kaa ehsaas
Jab us ke malboos kee khushboo ghar pahunchaane aa.ee hai
Husn se arz-e-shauq na karnaa husn ko zak pahunchaanaa hai
Ham ne arz-e-shauq na kar ke husn ko zak pahunchaa.ee hai
Ham ko aur to Kuch nahin soojhaa albatta us ke dil men
Soz-e-raqaabat paidaa kar ke us kee niind uDaa.ee hai
Ham donon mil kar bhee dilon kee tanhaa.ee men bhaTkenge
Paagal Kuch to soch ye too ne kaisee shakl banaa.ee hai
Ishq-e-pechaan kee sandal par jaane kis din bel chaDhe
Kyaaree men paanee Thahraa hai deevaaron par kaa.ee hai
Husn ke jaane kitne chehre husn ke jaane kitne naam
Ishq kaa pesha husn-parastee ishq baDaa harjaa.ee hai
Aaj bahut din baa'd main apne kamre tak aa niklaa thaa
Juun hee darvaaza kholaa hai us kee khushboo aa.ee hai
Ek to itnaa habs hai phir main saansen roke baiThaa hoon
Veeraanee ne jhaaDoo de ke ghar men dhuul uDaa.ee hai