umr guzregii imtihaan men kya
— Jaun Eliya
Umr guzregee imtihaan men kya
Daagh hee denge mujh ko daan men kya
Meree har baat be-asar hee rahee
Nuqs hai Kuch mire bayaan men kya
Mujh ko to koee Toktaa bhee naheen
Yahee hota hai khaandaan men kya
Apnee mahroomiyaan chhupaate hain
Ham ghareebon kee aan-baan men kya
Khud ko jaanaa judaa zamaane se
Aa gaya thaa mire gumaan men kya
Shaam hee se dukaan-e-deed hai band
Naheen nuqsaan tak dukaan men kya
Ai mire sub.h-o-shaam-e-dil kee shafaq
Too nahaatee hai ab bhee baan men kya
Bolte kyuun naheen mire haq men
Aable paD ga.e zabaan men kya
Khaamushee kah rahee hai kaan men kya
Aa raha hai mire gumaan men kya
Dil ki aate hain jis ko dhyaan bahut
Khud bhee aataa hai apne dhyaan men kya
Wo mile to ye poochhnaa hai mujhe
Ab bhee hoon main tiree amaan men kya
Yuun jo taktaa hai aasmaan ko too
Koee rahtaa hai aasmaan men kya
Hai naseem-e-bahaar gard-aalood
Khaak uDtee hai us makaan men kya
Ye mujhe chain kyuun naheen paDtaa
Ek hee shakhs thaa jahaan men kya