wo jo thaa wo kabhi milaa hi nahin

Jaun Eliya

Wo jo thaa wo kabhee milaa hee naheen So garebaan kabhee silaa hee naheen Us se har dam mo.aamla hai magar Darmiyaan koee silsila hee naheen Be-mile hee bichhaD ga.e ham to Sau gile hain koee gila hee naheen Chashm-e-maigoon se hai mughaan ne kahaa Mast kar de magar pilaa hee naheen Too jo hai jaan too jo hai jaanaan Too hamen aaj tak milaa hee naheen Mast hoon main mahak se us gul kee Jo kisee baagh men khilaa hee naheen Haa.e 'jaun' us kaa wo piyaala-e-naaf Jaam aisa koee milaa hee naheen Too hai ik umr se fughaan-pesha Abhee siina tiraa chhilaa hee naheen