zabt kar ke hansii ko bhuul gaya
— Jaun Eliya
Zabt kar ke hansee ko bhuul gaya
Main to us zakhm hee ko bhuul gaya
Zaat-dar-zaat ham-safar rah kar
Ajnabee ajnabee ko bhuul gaya
Sub.h tak vaj.h-e-jaan-kanee thee jo baat
Main use shaam hee ko bhuul gaya
Ahd-e-vaabastagee guzaar ke main
Vaj.h-e-vaabastagee ko bhuul gaya
Sab daleelen to mujh ko yaad raheen
Bahs kya thee usee ko bhuul gaya
Kyuun na ho naaz is zehaanat par
Ek main har kisee ko bhuul gaya
Sab se pur-amn vaaqi.a ye hai
Aadmee aadmee ko bhuul gaya
Qahqaha maarte hee deevaana
Har gham-e-zindagee ko bhuul gaya
Khvaab-haa-khvaab jis ko chaahaa thaa
Rang-haa-rang usee ko bhuul gaya
Kya qayaamat huee agar ik shakhs
Apnee khush-qismatee ko bhuul gaya
Soch kar us kee khalvat-anjumanee
Vaan main apnee kamee ko bhuul gaya
Sab bure mujh ko yaad rahte hain
Jo bhalaa thaa usee ko bhuul gaya
Un se va.ada to kar liyaa lekin
Apnee kam-fursatee ko bhuul gaya
Bastiyo ab to raasta de do
Ab to main us galee ko bhuul gaya
Us ne goyaa mujhee ko yaad rakhaa
Main bhee goyaa usee ko bhuul gaya
Ya.anee tum wo ho vaaqa.ee? had hai
Main to sach-much sabhee ko bhuul gaya
Aakhiree but khuda na kyuun Thahre
But-shikan but-garee ko bhuul gaya
Ab to har baat yaad rahtee hai
Ghaaliban main kisee ko bhuul gaya
Us kee khushiyon se jalne vaalaa 'jaun'
Apnee eezaa-dahee ko bhuul gaya