zindagii kya hai ik kahaanii hai

Jaun Eliya

Zindagee kya hai ik kahaanee hai Ye kahaanee naheen sunaanee hai Hai khuda bhee ajiib ya.anee jo Na zameenee na aasmaanee hai Hai mire shauq-e-vasl ko ye gila Us kaa pahloo saraa-e-faanee hai Apnee taameer-e-jaan-o-dil ke liye Apnee buniyaad ham ko Dhaanee hai Ye hai lamhon kaa ek shahr-e-azal Yaan kee har baat naa-gahaanee hai Chaliye ai jaan-e-shaam aaj tumhen Sham.a ik qabr par jalaanee hai Rang kee apnee baat hai varna Aakhirash Khoon bhee to paanee hai Ik abas kaa vajood hai jis se Zindagee ko muraad paanee hai Shaam hai aur sahn men dil ke Ik ajab huzn-e-aasmaanee hai