aaj main ne apna phir sauda kiyaa
— Javed Akhtar
Aaj main ne apna phir sauda kiyaa
Aur phir main duur se dekhaa kiyaa
Zindagee-bhar mere kaam aa.e usuul
Ek ik kar ke unhen bechaa kiyaa
Bandh ga.ee thee dil men Kuch ummeed see
Khair tum ne jo kiyaa achchhaa kiyaa
Kuch kamee apnee vafaaon men bhee thee
Tum se kya kahte ki tum ne kya kiyaa
Kya bataa.oon kaun thaa jis ne mujhe
Is bharee Dunya men hai tanhaa kiyaa