bahaana dhuundte rahte hain koi rone kaa
— Javed Akhtar
Bahaana DhoonDte rahte hain koee rone kaa
Hamen ye shauq hai kya aasteen bhigone kaa
Agar palak pe hai motee to ye naheen kaafee
Hunar bhee chaahiye alfaaz men pirone kaa
Jo fasl khvaab kee tayyaar hai to ye jaano
Ki vaqt aa gaya phir dard koee bone kaa
Ye zindagee bhee ajab kaarobaar hai ki mujhe
Khushee hai paane kee koee na ranj khone kaa
Hai paash paash magar phir bhee muskuraataa hai
Wo chehra jaise ho TuuTe hue khilaune kaa