hamaare shauq ki ye intihaa thii

Javed Akhtar

Hamaare shauq kee ye intihaa thee Qadam rakkhaa ki manzil raastaa thee BichhaD ke Daar se ban ban phiraa wo Hiran ko apnee kastooree sazaa thee Kabhee jo khvaab thaa wo paa liyaa hai Magar jo kho ga.ee wo chiiz kya thee Main bachpan men khilaune toDtaa thaa Mire anjaam kee wo ibtidaa thee Mohabbat mar ga.ee mujh ko bhee gham hai Mire achchhe dinon kee aashnaa thee Jise chhoo luun main wo ho jaa.e sonaa Tujhe dekhaa to jaanaa bad-duaa thee Mareez-e-khvaab ko to ab shifaa hai Magar Dunya baDee kaDvee davaa thee