kabhi kabhi main ye sochtaa hoon ki mujh ko terii talaash kyuun hai
— Javed Akhtar
Kabhee kabhee main ye sochtaa hoon ki mujh ko teree talaash kyuun hai
Ki jab hain saare hee taar TuuTe to saaz men irti.aash kyuun hai
Koee agar poochhtaa ye ham se bataate ham gar to kya bataate
Bhalaa ho sab kaa ki ye na poochhaa ki dil pe aisee kharaash kyuun hai
UThaa ke haathon se tum ne chhoDaa chalo na daanista tum ne toDaa
Ab ulTaa ham se to ye na poochho ki sheesha ye paash paash kyuun hai
Ajab do-raahe pe zindagee hai kabhee havas dil ko kheenchtee hai
Kabhee ye sharmindagee hai dil men ki itnee fikr-e-ma.aash kyuun hai
Na fikr koee na justujoo hai na khvaab koee na aarzoo hai
Ye shakhs to kab kaa mar chukaa hai to be-kafan phir ye laash kyuun hai